Tuesday, 18 October 2016

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦NIKAAH


      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

KHWATEEN KE FIQHI MASAIL

            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦

               ⊙  N I K A A H ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ _*01- Nikaah ka Shara’i Tareeqa*_,

Nikaah ka Shara’i Tareeqa kya he?

★, Nikaah ka shara’i Tareeqa ye he k aurat ya uske wali se ijazat lekar 2 gawaho ke saamne aqd kar liya jaye,

Fatawa Mehmudiya, 11/200

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*02-Nikaah ki ijazat lene ka Tareeqa*_

ⓢ  Dulhan se ijazat hasil karne ka Tareeqa kya he?

Ajnabi gawaho ka ijazat lene ke liye Aurto’n ke majme me Jana kesa he?

★. Balig ladki ka wali ( Baap) khud ladki ko ittela kar de k fala ladke se itne mahar ke evaz Tera Nikaah karta hu’n,

*_Fir itni der thehar jaye k agar ladki haa na ka koi jawaab dena chahe to de sake,

*_is per israar na kare k jawaab de balki khamoshi bhi kaafi he,

★.Fir majme me chahe uski taraf se ijaab v qubool kar le ya Qazi ya Nikaah khwa’n ko Vakeel bana de aur wo ijaab v qubool kare,

★.Shar’an itna kar Lena kaafi he, aur Jo tareeqa aaj raa’ij he wo kuchh Rasm ki pabandi he kuchh kanooni Ri’ayat he,

★ .Ajnabi gawaho ka jaakar ijazat lena sharm vagera ke khilaf he, isko v digar khurafaat ko husne tadbeer se rokna chahiye, ,

Fatawa Mehmudiya, 11/154

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*03- Nikaah ke Gawaah me Sirf Aurto’n ka hona,*_

Nikaah karte waqt gawaah me sirf Aurte’n hi ho to kya nikaah ho ja’ega?

★. Agar Mard koi nahi sirf Aurte’n ho tab bhi nikaah durust nahi he chahe 10-12 kyo na ho, Aurto’n ke saath ek Mard ka hona zaruri he,

Bahishti Zever, hissa 4,safa 4,

     ━═─────────────────═━

☞ _*04- Mahar se Kya Muraad he,*_

ⓢ Mahar e Misl se kya muraad he?

ⓢ Mahar se muraad kya he?

★. Mahar wo maal he Jo nikaah me muqarrar ho,

★. Baap ke aqraba me Jo aurat uske misl ho Umar aur Soorat v Deendari vagera me wahi Mahare Misl he,

Fatawa Darul uloom Devband, 8/ 270-287

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*05- Mahar ki Miqdaar ka Yaad na hona*_

ⓢ .Agar kisi aurat ke mahar ki miqdaar qazi ke register me darj nahi he aur na hi miqdaar mahar yaad he to kya hukm he?

★,is soorat me Mahar e Misl dilwaya ja’ega,

Fatawa Darul uloom Devband, 8/306

     ━═─────────────────═━

☞ _*06- Kam se kam Mahar ki Miqdaar,*_

ⓢ. Kam se kam Mahar ki miqdaar kya he?

★, kam se kam Mahar Shar’an 10 dirham he, jinka vazan 2 tola saade 7 masha chandi he Jo bazaar ke bhav ke hisaab se lagana chahiye,

Khairul Fatawa, 4/155

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*07- Mahar e Fatmi ki Miqdaar*_

ⓢ  Mahar e Fatmi ki miqdaar fi zamana kya he?

★. Azwaaj Mutahraat ke Mahar Saade 12 Avqiya chandi ke barabar the,
Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ka Mahar bhi itna hi tha,

*__ek avqiya 40 dirham ka hota he, Jo 500 dirham hue jiski miqdaar taqriban 132 tola chandi he,

Fatawa Mehmudiya, 11/200

     ━═─────────────────═━

☞ _*08- Banaat v Azwaaj Mutaharaat ka Mahar aur usse zyada Mahar likhna*_

ⓢ Azwaaj mutaharaat v banaat ka Mahar kitna tha, Kya isse zyada Mahar rakhna makrooh he? ?

★,Makrooh nahi he,
Albatta bahut zyadti Mahar me pasandida nahi he,

★, Azwaaj Mutaharaat v Banaat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam  ka Mahar Saade 12 Avqiya chandi tha jiski miqdaar 500 dirham banti he, Sivae Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha ke, inka Mahar 4 hazaar dirham Najjashi ne bandha tha

Fatawa Darul uloom Devband, 8/ 304

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*09- Nikaah me Hadiye ka Len Den*_

ⓢ .Nikaah ki baat cheet ke waqt len den ki koi shart nahi ki magar Aqd ke waqt min Janib ladki agar Dulha ko agar kuchh bhi de de to ye Shar’an halaal he ya nahi?

★. Agar waha shart na ki jaye aur Len den ka dastoor bhi na ho, apne zahan me ye na samajhte ho k kuchh diya ja’ega ya kuchh liya ja’ega, Fir koi taza rishta ki buniyad per khushi me ladki ki taraf se ya ladke ki taraf se de de to koi harj nahi,

★.Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se nikaah ke waqt unke chacha ko Kurta marhamat farmaya tha,

Fatawa Mehmudiya, 11/154

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*10- Apni Behan Nikaah me hote hue Behnoi se Nikaah*_

ⓢ . Apni Behan kisi ke nikaah me ho fir us Behnoi se Nikaah durust he ya nahi?

★. Jab tak apni Behan nikaah me rahe tab tak Behnoi se nikaah durust nahi,

Bahishti Zever,, hissa 4,safa 5,

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*11- Do behno ka ek Mard se Nikaah*_

ⓢ.Do behno ne ek Mard se Nikaah kiya to kiska Nikaah durust hua?

★, Agar Do behno ne ek hi Mard se Nikaah kiya to Jiska Nikaah pehle hua wo sahi he aur jiska baad me kiya gaya wo nahi hua,

★, isi tarah do behne agar sagi na ho Mamuzaad ya Chachazaad ya Fufizaad ya Khalazaad ho’n to Dono ek hi saath ek hi Mard se Nikaah Kar sakti he’n, esi behno ke hote hue bhi Behnoi se Nikaah durust he,

Bahishti Zever, 4/5

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*12- Kya Musalman Aurat Gair Muslim seNikaah kar Sakti he,*_

ⓢ. Kya Musalman Aurat gair Muslim se Nikaah kar sakti he ?

★. Musalman Aurat ka Nikaah Musalman ke Siva kisi aur mazhab wale Mard se durust nahi,

Bahishti Zever, 4/6

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*13- Mankuha Gair ka Kisi aur se Nikaahkarna*_

ⓢ. Jis Aurat ka Nikaah kisi Mard se ho chuka ho to us Aurat ka kisi aur se Nikaah karna kesa he?

★, Jis Aurat ka Nikaah kisi Mard se ho chuka ho to doosre se Nikaah durust nahi,

Bahishti Zever, 4/6

     ━═─────────────────═━

☞ _*14- Iddat puri hone se Pehle Nikaah karna*_

ⓢ . Kisi Aurat ko uske Miya ne Talaaq de di ya mar gaya to jab tak Talaaq ki iddat aur marne ki iddat puri nahi hoti kisi aur se Nikaah karna kesa he?

★. uski iddat puri na ho chuke tab tak doosre Mard se Nikaah karna durust nahi,

Bahishti Zever, 4/6

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*15- Mankuha Murtad ka kisi doosre seNikaah Karna*_

ⓢ .Mankuha gair ko Murtada banakar kisi aur se Nikaah karane se Nikaah ho jata he ya nahi?

★, Aurat ke Murtad ho jane se uska pehla Nikaah nahi toot ta balki baqi rehta he, lihaza kisi aur se Nikaah durust nahi he,

Khairul Fatawa,, 4/263

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*16- Sasur aur unke Baap Dada se Nikaahkarna,*

ⓢ .Kya Aurat apne Sasur aur unke Baap Dada se Nikaah kar sakti he?

★. Sasur aur unke Baap Dada ke saath bhi Nikaah durust nahi he,

Bahishti Zever, 4/5

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*17- Aurat ka apni Soteli ladki ke saath kisi ek Mard se Nikaah karna,*_

ⓢ.Kya Aurat apni Soteli ladki ke saath mil kar kisi ek Mard se Nikaah kar sakti he?

★, Ek Aurat aur Uski Soteli ladki ye dono ek saath agar kisi Mard se Nikaah kar le to durust he,

Bahishti Zever, 4/5

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*18- Apne Le paalak Ladke se Nikaah karna*_,

ⓢ. Kya apne Le paalak ladka jisko doodh nahi pilaya usse Nikaah durust he ya nahi?

★, Le paalak ka Shara me kuchh aytbaar nahi, Ladka banane se sach much wo Ladka nahi ho jata, isliye Le paalak se Nikaah kar lena durust he,

Bahishti Zever, 4/5

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*19- Jin Do Behno ka Jism ek doosre se Alag na ho unka Nikaah kisi se Durust nahi*_,

ⓢ Do Judwa Behne payda hui Jinke kulhe aapas me mile hue he’n baqi tamaam aaza’a alag he’n, Ab unka Nikaah kisi ek Mard se ho sakta he ya nahi?

★. Shara’i tor per ye 2 Aurte’n tasavvur hongi, na ek Mard se inka aqd nikaah durust he aur na hi do Mardo se, balki jab tak jab tak in dono ko operation ke zariye ek doosre se alag nahi kiya jata, unka Nikaah karane ki jaa’iz soorat nahi he,

*_ Imdadul Fatawa me he k agar wo dono kisi zariye se alag na ho sake to unka Nikaah kisi se nahi ho sakta,
kyuki agar dono ka ek Mard se Nikaah kiya jaye tab to 2 behne ek shakhs se Nikaah nahi kar sakti,

*_aur agar ek Mard se ek hi ka Nikaah kiya jaye to isliye jaa’iz nahi hoga k isse Tamat’a badan doosre se Tamat’a hue mumkin nahi aur gair mankuha se tamat’a haraam he Pas mokoof alal haraam bhi haraam he,

Khairul Fatawa, 4/275

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*20- Nifaas aur Haiz me Nikaah,*_

ⓢ .Nifaas aur Haiz ke andar Nikaah jaa’iz he ya nahi?

★. Tajdeede Nikaah haalate Haiz aur haalate Nifaas dono me durust he, basharte k Aurat iddat me na ho, iddat me hona albatta maan’a nikaah he,

Fatawa Mehmudiya, 3/277

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*21- Aanta Saanta  Nikaah,*_

ⓢ . Zaid ne apni Behan ki shadi Bakar ke saath kar di aur Bakar ne apni ladki ki shadi Zaid ke saath kar di, Bakar ki ye ladki pehli Aurat ki he, to kya is tarah Shadi ho sakti he?

★. Ho sakti he,

Fatawa Mehmudiya, 3/220

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*22- Aurat ke irtdaad se Nikaah Nahi Toot ta,*_

ⓢ .Ek aurat apne shohar ke yaha rehne ke liye taiyar nahi, balki apne khaas dost ke yaha Jana chahti he Jo shadi se pehle Dost bane hue he’n, Aur shohar Talaaq bhi nahi deta to ek Aadmi ne khalasi ka Tareeqa bataya k irtdaad ka elaan kar de to nikaah khud bakhud toot ja’ega Fir Dost se Nikaah kar sakti he,

ⓢ .chunache us Aurat ne irtdaad ka elaan kar diya lihaza is tarah Dost se Nikaah ho sakta he ya nahi??

★, is soorat me dost se nikaah ki hargiz ijazat nahi di ja’egi, saabqa nikaah ba dastoor baqi he, avval khawind ke paas hi rehna hoga aur jis shakhs ne irtdaad karake khalasi ka Tareeqa bataya wo khud isse Murtad ho gaya, jald se jald ta’ib hokar tajdeed imaan karna chahiye, varna Khasruddunya val akhirah ka misdaaq hoga,

Fatawa Mehmudiya, 11/ 256

     ━═─────────────────═━

      ☞ _*23- Wali Ka bayaan,*_

ⓢ .Wali kon kon he?

★. Bil tarteeb wali ye he’n –

*_Baap, fir Daada, Fir Saga bhai, Fir Sotela bhai, Fir Bhatija, Fir Bhatije ka ladka, Fir Bhatije ka Pota,

*_Fir Saga chacha, Fir Sotela chacha, Fir Saga chacha ka ladka, Fir uska pota,

*_Fir Sotela chacha ka ladka, Fir uska pota,

*_Fir ye Sab na ho to Fir Baap ka chacha wali he, Fir uski aulad,

★.Fir Dada ka chacha, Fir uske ladke, Pote, Padpote vagera,

*_Fir Maa, fir Daadi, fir Naani, Fir Naana, Fir Haqeeqi Behan, fir Soteli Behan,
Fir Jo Bhai Behan Maa shareek ho’n, Fir Fufi, Fir Maamu, Fir Khala vagerah,

Bahishti Zever, 4/6

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*24- Baliga ka Gair Kafu me Nikaah karna,*_

ⓢ . Baaliga ka gair Kafu me Nikaah karna sahi he ya nahi?

★. Agar apne mel me Nikaah nahi kiya, apne se kam zaat wale se Nikaah kar liya aur wali nakhush ho to Fatwa is per he k Nikaah durust nahi hoga,

Bahishti Zever, 4/7

     ━═─────────────────═━

☞ _*25-Walden se mulaqat ka hukm,*

ⓢ.Bivi ko apne Walden se milne ka akhtyar kitne Din ke baad he aur milne jaye to kitne din waha thehr sakti he,?

★. Bivi ko Walden se hafte me ek baar aur doosre Mahram rishtedaro se saal me ek baar mulaqaat ka haq he, door aur nazdeek me koi farq nahi, Albatta mulaqaat ke liye aamado raft ke masarif shohar ke zimme wajib nahi,

★. Bivi ko sirf mulaqaat ka haq he Walden ke yaha rehna shohar ki ijazat ke bager rehna jaa’iz nahi,

�� Ahsanul fatawa, 5/33

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*26- Bager khilwat talaaq se Nisf mahar kaka wajib hona,*_

ⓢ. Agar zoja apni mankuha ko nikaah ke baad bager rukhsati ke talaaq de de, mahar laazim hoga ya nahi?

★, Badune khilwat sahi aur bager jimaa ke agar shohar apni zoja ko talaaq de de to Adha mahar laazim hota he,

�� Fatawa Darul ulooom Deoband, 8/266

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*27- Kaafir Aurat ka Musalman ho jana aurNikaah karna,*

ⓢ .Koi kaafir aurat musalman ho jaye jabki uska shohar bhi he to Ye aurat foran baad islaam Nikaah kar sakti he ya nahi?

★. Kaafir ki zoja musalman ho jaye to baad baad az iddat wo aurat us kaafir ke nikaah se kharij ho jaa’egi aur doosri jagah musalman se Nikaah kar sakti he, iddat guzarne se pehle foran Nikaah durust nahi hoga,

�� Fatawa Darul ulooom Deoband, 8/335

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*28- Beva Kaafir Aurat Musalman ho jaye to Us per iddat nahi,*

ⓢ. Ek aurat gair Muslima saal do saal se beva he agar musalman hokar foran kisi musalman se Nikaah kare to durust he ya nahi?

★. Kaafir Beva aurat musalman hokar foran Nikaah kar sakti he us per iddat kuchh laazim nahi,

�� Fatawa Darul ulooom Deoband, 8/334

      ⊙ Talibe Dua,
      ⓖ Ahle deoband Group ,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦TAYAMMUM


      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
        βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

     ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL

       ▦══─────────────══▦

                 ⊙ TAYAMMUM

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

Tayammum Karne Ka Tareeqa,

Taymmum karne ka kya Tareeqa he??

★• Tayammum karne ka tariqa ye he k, Dil me yu’n iraada kare k me paak hone ke liye ya Namaz padhne ke liye Tayammum karti hu’n,

★•Fir do no haath paak zameen per maare aur jhaad de’n, aur moonh ko mal le’n,
Fir doosri martaba zameen per do no haath maare, fir jhaad de’n, aur do no haath kohniyo’n samet male’n,
Choodiyo’n, Kangan vagera ka darmiyan achchhi tarah male’n,

★•Agar is guman me nakhun barabar bhi koi jagah chhot gayi to Tayammum nahi hoga,

★•  Anguthi, Chhalle utaar de’n taki koi jagah chhot na jaye, ungliyo’n me khilal kar le’n, Jab ye do no cheeeze’n kar le’n to Tayammum ho gaya, 

  Bahishti Zever,, 1/ 68

                   •─━━━━━══════━━━━━─•

☞ Tayammum Kï ijazat Kab ?

ⓢ Tayaamum Kï ijazat Kïn soorto me he ?

★•  Tayammum ki ijazat sirf 2 soorato’n me he,

*_1- ek ye k paani ke istemal per qudrat na ho, Jo shakhs bimaar ho aur vazu ya gusl se jaan ki halakat Ka ya bimari ke bad Jane ka andesha ho ya khud gusl ya vazu karne se mazoor ho aur koi doosra aadmi gusl ya vazu karane wala mojood na ho to esa shakhs Tayammum kar sakta he,

*_2- doosra agar paani ek meal door ho, ya kunva( well) to he magar kunve se paani nikaalne ki koi Surat nahi ya paani per koi darinda betha ho ya dushman ka kabza ho,

★• Jo shakhs paani ka istemal kar sakta ho uska Tayammum jaa’iz nahi, na uski namaz hi hogi,

  Aapke masail aur unka Hal,, 2/63

                 •─━━━━━══════━━━━━─•

☞ -Vazu aur Gusl ka Tayammum

ⓢ Kya vazu aur gusl ka Tayammum ek he??

★• Jis tarah vazu ki jagah Tayammum durust he, usi tarah gusl ki jagah bhi majboori ke waqt Tayammum durust he,

★•  ESE hi Jo Aurat haiz v nifaas se paak hui ho majboori ke waqt usko bhi Tayammum durust he, Vazu aur Gusl ke Tayammum se koi farq nahi, do no ka ek hi tareeqa he,

 Bahishti Zever,, 1/69

                   •─━━━━━══════━━━━━─•

☞  Paani Nuqsaan kare to Tayammum ka Hukm,

ⓢ Bimari ki vajah se paani nuqsaan kare to Tayammum karna durust he ya nahi ??

★•  Agar bimari ki vajah se paani nuqsaan karta ho k agar vazu ya gusl  karegi to bimar pad jaa’egi ya dayr se achchhi hogi, tab bhi Tayammum durust he,

★•  Lekin agar thanda paani nuqsaan karta ho aur garam paani nuqsaan nahi kare to garam paani se gusl karna wajib he, albatta agar esi jagah he k garam paani nahi mil sakta to Tayammum karna durust he,

 Bahishti Zever,, 1/67

                   •─━━━━━══════━━━━━─•

☞ Gusl Nuqsan kare to Tayammum ka Hukm,

ⓢ Agar Gusl nuqsan kare aur vazu nuqsan na kare to kya gusl ki jagah Tayammum kar sakte hai’n??

★•  Agar gusl karna nuqsaan karta ho aur vazu nuqsan na karta ho to gusl ki jagah Tayammum kare,

★• fir agar Tayammume gusl ke baad vazu toot jaye to vazu ke liye Tayammum na kare balki Vazu ki jagah vazu karna chahiye ,

★• Aur agar Tayammume gusl se pehle koi baat todne wali bhi payi gayi aur fir gusl ka Tayammum kiya ho to yahi Tayammum gusl aur vazu do no ke liye kaafi he,

 Bahishti Zever,, 1/68

                   •─━━━━━══════━━━━━─•

☞  Bachche ke Marz ke Khatre ke waqt Maa’n ka Tayammum karna ,

ⓢ Ek Aurat apne bachche ko doodh pilati he Jo pakhana peshab aksar Maa’n ke kapdo per karta he aur Maa’n ke musalsal gusl karne ki vajah se bachcha bimar ho ja’ega ya Maa’n khud bimar ho ja’egi ya nahati nahi he to is vajah se kya usko Quran padna jaa’iz hoga??

★•  Agar baar baar gusl se us Maa’n ko apne bachche ki bimari ka khof ho to Tayammum karke namaz pad liya kare,

*_ fir dhoop ke waqt ya garam paani se gusl karke un namazo ka fir iaadah kar liya kare aur Tayammum ke baad quran sharif ki Tilawat bhi durust he,

  Fatawa Darul Uloom Deoband,, 1/240

        ⊙ Talibe Dua,
        ⓖ Ahle deoband Group , 

     ━═─────────────────═━
★☆★

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦GUSL

▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
          βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

        ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL

                      ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦

                 ⊙ - G U S L - ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 1- Gusl Ka Masnoon Tareeqa,

Gusl ka masnoon Tareeqa kya he??

★•  Gusl karne wali ko chahiye k pehle Dil me gusl ka iraada ( NIYAT ) bhi kare k me paak hone ke liye gusl karti hu’n,

★•  Fir gatto tak do no haath dhole’n,

★•  Fir istinja ki jagah dhole’n, Haath aur istinja ki jagah najasat ho tab bhi aur na ho tab bhi, har haal me pehle in do no ko dhona chahiye,

★•  Fir jaha'n Badan per najasat ( gandgi ) lagi ho paak kare’n,

★•  Fir vazu kare’n,

★•   Vazu ke baad 3 martaba Dahine kandhe per fir 3 martaba Baaye kandhe per paani is tarah daale’n k saare Badan per paani beh jaye,

★•  Fir us jagah se hat kar paak jagah per aaye aur fir payr dho le’n, aur agar vazu ke waqt payr dho liye ho to zaroorat nahi,

★•  Pehle Saare Badan per achchhi tarah haath fere’n tab paani bahae’n taki sab taraf achchhi tarah paani pahunch jaye kahi sukha na rahe,

  Bahishti Zever,, 1/47

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 2- Aurat ke liye Baalo ki Jado me Paani Pahunchana

ⓢ Bahaalate Janabat Aurat kaha’n tak naha’e,?

★•  Zaroori he k Sar per se paani daale aur tamaam Badan per paani baha de,

★• Sirf Aurat ke liye ye hukm he k agar uske sar ke baal guthe hue ho to unka kholna zaroori nahi, balki baalo ki jado me paani pahuncha dena kaafi he,

*_ yani is tarah kare’n k sar per paani daal kar baalo ko haath se daba de k paani jado me pahunch jaye,

  Fatawa Darul Uloom Deoband,, 1/141

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  3- Aurat ko Ahatlaam ho jaye to Gusl ka hukm

ⓢ Aurat ko Mard ki tarah ahatlaam ho jaye to Mardo’n ki tarah gusl farz he ya nahi??

★•  Gusl Farz he,

  Fatawa Darul Uloom Deoband,, 1/141

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 4- Mehndi ke Rang ke Saath Gusl ,

ⓢ Aurto’n ka ye kehna he k agar ayyam ke dino me mehndi lagai jaye to jab tak mehndi ka rang mukammal tor per utar na jaye paaki ka gusl nahi hoga,, kya ye durust he ??

★•  Aurto’n ka ye kehna batil aur galat he, gusl ho jaa’ega, gusl ke sahi hone ke liye mehndi ka rang utaarna zaroori nahi,

  Aapke masail aur unka Hal,, 2/53

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  5- Aurat ko bachcha paida hone per Gusl karna,

ⓢ Aurat ke jab bachcha paida hota he kya usi waqt gusl karna wajib he??

kya jab tak gusl na kare uske haath ka pakaya hua khana khana haraan aur gunah he,

★•   Haiz aur Nifaas wali aurat ke haath ka khana jaa’iz he,

★•  Jab tak wo paak nahi ho jaye us per gusl Farz nahi,
aur ye khayal bilkul batil aur galat he k Bachcha paida ho jaye to uske baad gusl wajib hoga ,

 Aapke masail aur unka Hal,, 2/60

═❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 6- Bachcha Paida hone ke baad Bilkul khoon na aae to Gusl ka Hukm,

ⓢ Kisi Aurat ko Bachcha paida hone ke baad bilkul khoon na aaye to Gusl kare ya na kare??

★• Bachcha paida hone ke baad kisi ko bilkul khoon na aaye tab bhi janne ke baad ( Ahatyatan) nahana wajib he,

  Masaile Gusl,, 33

     ━═─────────────────═━

☞ 7- Haiz v Nifaas ke Gusl ka Hukm ,

ⓢ  Aurto’n ko jab Haiz  v Nifaas band ho to kya gusl wajib he??

★• Aurto’n ko jab Haiz v Nifaas ka khoon band ho jaye to gusl karna wajib he,

  Bahishti Zever,, 1/75

        ⊙ Talibe Dua,
        ⓖ Ahle deoband Group ,

     ━═─────────────────═━
★☆★

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦HAIZ-O-NIFAAS


      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
           βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

         ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL

                           
                      ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦

                 ⊙ - Haiz  V  Nifaas  - ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

                 ☞   1- Haiz ki Tareef ,

Haiz kise kehte hai’n ?

★• Sahatmand balig gair haamla Aurat ko har maah aage ki raah se Jo mamuli khoon aata he, use haiz kehte hai’n,

           
                   ☞  2- Nifaas ki tareef ,

ⓢ  Nifaas kise kehte hai’n?

★• Bachcha paida hone ke baad aage ki raah se Jo khoon aata he, use nifaas kehte hai’n,

              
                  ☞  3- Isthaza ki Tareef ,

ⓢ  Isthaza kise kehte  hai’n ?

★• Isthaza us khoon ko kehte hai’n Jo haiz v nifaas ki bayaan kardah tareef ke khilaf aaye,
Maslan- haiz me 3 din se kam aur 10 din se zyada aane wala khoon haiz nahi isthaza he,
Aur nifaas me 40 roz se zyada aane wala khoon isthaza he,

            
                   ☞  4- Muddate Haiz ,

Haiz ki muddat kya he?

★• Kam se kam haiz ki muddat 3 din raat he aur zyada se zyada 10 din raat he,

★•aur haiz ke darmiyan Aurat kam se kam 15 din paak rehti he yani ek haiz ke baad kam se kam 15 din tak doosra haiz nahi aata aur zyada se zyada paak rehne ki koi had muqarrar nahi he, mumkin he k kisi Aurat ko saari zindgi hi haiz na aaye,

           
                ☞ 5- Muddate Nifaas ,

Nifaas ki muddat kitni he?

★• Zyada se zyada nifaas ki muddat 40 Din he aur kam ki koi had nahi chahe kuchh der khoon aakar band ho jaye to bhi woh nifaas he aur ye bhi mumkin he k kisi Aurat ko bilkul hi nifaas na aaye,

Masaile Gusl,,, 17

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  6- Nifas aur Haiz ke darmiyan Paaki ki Muddat ,

Nifaas aur Haiz ke darmiyan paaki ki muddat kitni he?

★•   Haiz aur Nifas ke darmiyan paaki ki muddat kam se kam 15 din he,

  Masail e Gusl,, 29

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  7 - Halate Haiz me Zikr aur Tasbeeh aur Ha’iza per dam ,

Aurat Halate haiz me zikr aur tasbeeh vagera kar sakti he ya nahi??

ⓢ  Haiz ya nifaas wali aurat per Qurane paak pad kar dam karna jaa’iz he ya nahi?

★•   Halate haiz me Tilawate Quran ke Siva har qism ka zikr jaa’iz he, Quran ki aayat bhi dua ki niyat se padna jaa’iz he,

★•   Dam karna Jaa’iz he,

  Ahsanul Fatawa,, 2/27

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 08- Ayyame Aadat ke Baad Khoon aana

Ek Aurat ki Aadat mustmarah ye he k har mahine 5 roz haiz aata he, kabhi kabhi Chhate din bhi aa jata he, kabhi to yaha'n tak nobat aati he k naha dhokar 2-3 Namaze padti he fir khoon aa jata he, iska kya hukm he??

★ 5 Din guzarne ke baad jab  khoon band ho jaye to namaz ke akhir waqt me gusl karke namaz pade fir agar khoon aa jaye to namaz chhod de,

 Ahsanul Fatawa,, 2/68

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 10- Ayyam ke Dauraan Shohar ka Bivi ko Haath lagana

ⓢ Kya Maahwari me Shohar apni Bivi se Hambistari ya Ghutno se Zere Naaf ke hisse ko Haath laga sakta he??

★  Khaas Ayyam ki haalat me hambistari sakht haraam he, balki naaf se lekar ghutno tak hissa v badan ko shohar ka haath lagana aur mas karna bhi bager parda jaa'iz nahi,

 Aapke masail aur unka Hal,, 2/ 68

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  11- Napaaki ke Ayyam me Qurane Paak Yaad karna ◆

★ Quran sharif hifz karne ke dauran napaaki ki haalat me kisi pen vagerah ki madad se Qurane paak ke safe palat kar yaad karna jaa'iz he ya nahi??

★ Aurto'n ko khaas Ayyam me Qurane paak ka zuban se padna jaa'iz nahi,

★hifz ko bhoolne ka andesha ho to bager zuban hilae dil me sochti rahe'n, zuban se na pade,

→( albatta Quran paak sun sakti he) kisi kapde vagerah se safe ulatna jaa'iz he,

 Aapke masail aur unka Hal ,, 2/72

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 12- Napaaki ki Haalat me Nakhun Kaatna ◆

ⓢ Napaaki ki haalat me agar Nakhun kaate jaye to kya jab tak wo badkar dobara na kaate jaye paak nahi ho sakte?

★ Napaaki ki haalat me nakhun nahi kaatne chahiye,

→ Magar ye galat he k jab tak nakbun na bad jae paak nahi ho sakte,

 Aapke masail aur unka Hal,, 2/81

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  13- Bachcha Paida hone ke Baad Jima'a ki Muma'anat kab tak? ◆

ⓢ Jis Aurat ko Bachcha paida ho uske saath kab tak jima'a ki muma'anat he?

★ Jis Aurat ko bachcha paida ho uske liye muddate Nifaas zyada se zyada 40 Din he,

→ pas agar kisi Aurat ko is muddat me baar baar khoon kamo besh aata rahe to uska shohar 40 Din tak usse mujam'at nahi kar sakta, 40 Din ke baad jaa'iz he,

→aur chuki nifaas me kam miqdaar ki koi muddat nahi isliye agar 40 Din se pehle khoon munqata ho jaye to gusl ke baad sohbat jaa'iz he,

 Fatawa Darul Uloom Deoband,,, 1/259

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 14-Hamal ka gir Jana aur Bachche ka Koi uzv ban jana ◆

ⓢ Kisi ka hamal gir gaya, agar bachche ka koi uzv ban gaya he to girne ke baad Jo khoon aaye to uska kya hukm he?

★ Kisi ka hamal gir gaya, agar bachche ka koi uzv ban gaya he to girne ke baad Jo khoon aa'ega wo bhi nifaas he,

→ aur agar kisi tarah ka koi uzv nahi bana gosht hi gosht he to uske baad Jo khoon aaye wo nifaas nahi,

→fir agar 3 din se zyada aaye to haiz he, 3 din se kam aaye ya paaki ka zamana abhi pure 15 din nahi hua to isthaza he,

 Masaile Gusl,, 31

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  15- Chhe mahine ya Usse zyada Faasle per 2 Bachche Paida hona ◆

ⓢ 2 bachcho ki paidaish ke darmiyan 6 mahine ya isse zyada faasla ho aur do no ke baad Jo khoon aaye wo kis tarah shumar hoga??

★ Agar 2 bachche paida ho'n aur dono ki wiladat me 6 mahine ya isse zyada ka faasla ho aur do no ke baad khoon aaye to do no khoon juda juda nifaas samjhe ja'enge,

 Masaile Gusl ,, 32

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 16-  Hamal ka Saqit hona ◆

ⓢ Agar 2-1 maah ka hamal saqit ho jaye aur sivae Jame hue khoon ke ya gosht ke lothde ke kuchh na nikle aur uske baad khoon aaye to kya hukm he, ?

⇨ Wo nifaas nahi hoga,

 Masaile Gusl,, 32

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  17- Makaame Operation se Khoon ka Aana ◆

ⓢ Agar kisi Aurat ke operation se bachcha paida ho aur khoon operation ki jagah se nikle, aage ki raah se na nikle to ye khoon kya hoga,?

★ Agar kisi Aurat ke operation se bachcha paida ho aur khoon operation ke makaam se nikle aage ki raah se na nikle to ye khoon nifaas nahi kehla'ega,

⇨ aur agar aage ki raah se bhi khoon bahar nikle to nifaas samjha ja'ega,

 Masaile Gusl,,, 32

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 18- Isthaza ke Khoon ka Hukm ◆

ⓢ isthaza ke khoon ka kya hukm he?

★ isthaza ke khoon ka hukm majoor ke hukm ki tarah he jiski tafseel ye he k agar kisi Aurat ko isthaza ka khoon Jaari ho aur ek farz namaz ke pure waqt me barabar is tarah jaari ho k Aurat ko itna waqt bhi na mile k wo vazu karke us waqt ki namaz Ada kar le, jab is tarah musalsal khoon Jaari ho to ye aurat majoor kehla'egi,
Aur agar aurat ko itna waqt mil jata he jisme taharat ke saath namaz pad le aur is dauran khoon na aaye to fir ye aurat majoor nahi hogi aur majoor ke ahkaam us per jaari nahi honge balki tandurast ke hukm me hogi,

★ Ek baar aurat ke majoor hone per fir aainda uzr ke baqi rehne ke liye musalsal khoon Jaari rehna zaruri nahi balki woh farz namaz ke waqt kam se kam ek baar bhi khoon aa jaye to bhi aurat majoor rehne ke liye kaafi he, aur jab kisi farz namaz ka pura waqt esa guzre k usme ek baar bhi khoon na aaye to fir aurat majoor ke hukm me nahi rahegi, tandurast ke hukm me ho ja'egi,

 Masaile Gusl,, 40

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  19- Isthaza ki Haalat me Qurane Kareem ki Tilawat aur Masjid me Jane ka Hukm ◆

ⓢ istahaza wali Aurat jiska khoon Jaari ho wo kya Qurane Kareem ki tilawat aur masjid me ja sakti he aur kya Baitullah ka tawaaf kar sakti he??

★ isthaza wali Aurat ko Qurane Kareem ki tilawat karna, Qurane Kareem ko bavazu chhuna aur masjid me jana, Baitullah ka tawaaf karna sab jaa'iz he, Jabki masjid ke mulavvis hone ka andesha na ho,

 Masaile Gusl,, 40

        ⊙ Talibe Dua,
        ⓖ Ahle deoband Group , 
 
     ━═─────────────────═━
★☆★

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦ROZA-AITAKAAF-ZAKAAT-O-SADQA


      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁

           βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL

                   ▦══─────────────══▦

                          ⊙  Roza  ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞01- Doodh pilane se Aurat ka Roza tootta he ya Nahi

ⓢ Agar kisi Aurat ne apne Doodh pite bachche ko doodh pilaya to uska Roza toot gaya ya nahi?

Roza nahi tootega,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 6/408

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Doodh pilane Wali Aurat Roza rakhe ya nahi?  •

ⓢ Jo Aurat bachche ko doodh pilati ho usko Roza rakhna chahiye ya nahi? Jabki Aurat kamjor ho,?

★ Agar bachche ki taraf se ya us Aurat ki taraf se andesha ho k Aurat ke roza rakhne ki vajah se bachcha halaak ho jaaega ya Aurat bevajah zaief ke halaak ho jaaegi,

→ ya uske doodh na rahe aur bachcha halaak ho jaaega to is soorat me Aurat Ramzan Sharif me Roza aftaar kare aur baad me iski qaza kare,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 6/464

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 03- Gair Rozadar Shohar ne Rozadar Bivi se Sohbat ki to Kya hukm he? •

Ek Mard bager Roza maahe Ramzan me apni rozadar bivi se is gumaan me k shayad roza se nahi he Sohbat karta he, Bivi ne Samjha mera Roza shohar ko maloom he aur shayad roza me mubashrat jaa’iz hogi, Taaham Mard se daryaft kiya to Mard Foran alag ho gaya, Ab kaffara kiske zimme he?

★ Is soorat me agar dakhool ho gaya to kaffara Aurat per laazim he,

aur agar ek dafa 60 miskeeno ko khana nahi khila sakte to ye durust he k ek miskeen ko 60 din tak dono waqt khilate rahe,

→Ya rozana usko qeemat nisf saa’a gandum ki dete rahe,

→Ya 60 miskeeno ko is tarah qeemat taqseem kare k har miskeen ko ek fitra ki qeemat yani nisf saa’a gandum pone do ser ki qeemat de de,

Fatawa Darul Uloom Devband, 2/437

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 04- Haamla Aurat ki Raza’at ki muddat puri na hui thi k Fir hamal ho gaya, Ye kya kare?  •

Ek haamla aurat bevajah andesha nuqsaan hamal roza rakhne se mehroom rahi aur baad me raza’at ki mazuri rahi,

Ab raza’at ki muddat puri bhi nahi hui hamal fir qaraar pa gaya, Ab haamla roza kis tarah rakhe,?

★ Agar haalat e hamal me usko Roza rakhne ki taqat nahi he ya bachche ki taraf se andesha he to jis waqt uska tawatar hamal munqata ho usi waqt qaza kare,

Fatawa Darul Uloom Devband, 2/461

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞05- Haiz wali Aurat ka Ramzan me khana peena   •

ⓢ Agar Ramzan me Aurat khaas Ayyam ki vajah se Roza na rakhe to usko din me khana peena durust he ya nahi?

★ Agar Haiz ki vajah se Roza nahi rakha ya Roza rakhne ke baad haiz aa gaya to khana peena jaa’iz he,lekin doosro ke saamne na khaye aur agar din ko haiz se paak hui to din ka baaqi hissa rozadaar ki taraf rehna wajib he,

Ahsanul Fatawa, 4/428

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞06-  Nifl Roza me Haiz Aa gaya to Qaza Wajib he •

Ek Aurat ne nifl Roza rakha, din ke kisi hisse me haiz aa gaya to kya paak hone ke baad ye Roza Qaza karna hoga?

★ is Roza ki Qaza wajib he,

Ahsanul Fatawa,, 4/438

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 07-Kaffara ke Roze ke darmiyan haiz aa gaya  •

ⓢ Agar kisi Aurat ne Roza rakh kar tod diya aur ab use kaffare ke Roze rakhna he, Kaffare ke Roze rakhna shuru kiye to chand Roze ke baad uske maahvari ke din aa gaye, Ab wo Roza nahi rakh sakti,

aur kaffare ke Rozo me naaga nahi honi chahiye, Esi Surat me esi Aurat ke bare me kya hukm he?

Maahvari ki vajah se Kaffare ke roze koi harj nahi, Maahvari khatm hote hi foran roze shuru kar de,

isi tarah 60 roze pe dar pe kare,
agar maahvari khatm hone ke baad ek din ka bhi naaga kiya to naye sire se 60 roze rakhna padenge,

Ahsanul Fatawa,, 4/ 442

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 08- 60 saala Mareeza Fidya de Sakti he ya nahi? •

Ek Mareeza Jisko T B ka marz lahiq he aur Umar bhi taqriban 60 saal he aur nihayat kamzor he, Sahat ke asaar nazar nahi aate, Doctoro ne sakhti se mana kiya k roza na rakhe aur agar roza rakhegi to sehat per bura asar padega,
Kya ye Fidya de sakti he?

★ Agar Aainda zamane me bhi tandurusti ke asaar nazar nahi aate to Fidya dene ki shar’an ijazat he,

★ Ek roze ka fidya Pone do Ser gandum ya iski qeemat he,

Khairul Fatawa,, 4/75

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 09-  Shiddate Pyaas se Jaan ka Khatra ho Jaye to Aftaar ka Hukm •

ⓢ Shiddate pyaas ki haalat gair ho jaye to Aftaar kar sakte hai’n ya nahi?

★ Roze ki haalat me agar pyaas itni shiddat lage k jaan khatre me pad jaye to roza todne ki ijazat he,

Khairul Fatawa,, 4/ 42

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞10-  Shawaal ke 6 Roze Rakhna •

ⓢ Eid ke baad 6 Roze Eid ke foran baad lagataar rakhe jaye ya kuchh waqfa se bhi rakh sakte hai’n?

★ Dono tarah durust he, behtar ye he k mutafarriq rakhe jaye,

Khairul Fatawa, 4/ 42
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞11-  Roze ki haalat me Aankh me Davai daalna  •

ⓢ Ramzanul Mubarak me Aankho me Roza ki haalat me behne wali Davai daali to kya roza toot gaya he ya nahi?

★ Aankh me behti hui Davai daalne se Roza nahi toot ta,

�� IEZAA,, 4/ 46

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 12-  Qaza e Ramzan ke liye Niyat ka Hukm

Kisi ke zimme Ramzan Mubarak ke chand rozo ki qaza baaqi he, unko Ada kiye bager nifli Roze rakhna he, ye uske nifli Roze honge ya Ramzan e Mubarak ki Qaza shumar honge?

Nifli Roze shumar honge, kyuki Qaza e rozo ke liye niyat qaza shart he,

Eizaa,,58

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 13-Ba- haalate Roza injection Lena •

Ba-haalate roza Jo injection gosht me liya jata he usse roza nahi toot ta lekin Jo injection rag me diya jata he jisse haajat ta’aam bhi rafa ho jati he to esa injection rag me lene se Roza per asar andaaz hoga ya nahi?

Ba-zaria injection jism me davaa pahunchane se Roza toot ta nahi he,

Fatawa Rahimiya, 2/38

       ▦══─────────────══▦

                      ⊙  AITKAAF  ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 01- Aurat ko aitkaaf me haiz aane per Hukm

ⓢ Agar aurat ko aitkaaf ki haalat me haiz aa jaye to wo itne dino ke aitkaaf ki qaza karegi ya nahi?

Jis roz haiz shuru hua sirf usi ek din ki qaza wajib he,

Ahsanul Fatawa,, 4/ 503

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Khawind ki ijazat ke bager Aitkaaf me bethna

Aurat apne khawind ki ijazat ke bager Ramzanul Mubarak me aitkaaf me beth sakti he ya nahi?

Aurat apne khawind ki ijazat ke bager Aitkaaf me na bethe,

Khairul Fatawa,, 4/ 144

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 03- Aurat ka Aitkaaf ke liye jagah Tabdeel karna •

ⓢAurat aitkaaf ki jagah mutaiyan karne ke baad tabdeel kar sakti he ya nahi?

Aitkaaf ke liye jagah mutaiyan karne ke baad tabdeeli jaa’iz nahi he andar ho ya bahar,

Khairul Fatawa, 4/ 142

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 04- Aurat ka Aitkaaf me khana pakana

Aitkaaf karne wali aurat ghar ki masjid me khana paka sakti he ya nahi,?

★ Agar uska koi khana pakane wala na ho to masjide bait me khana paka sakti he, masjide bait per tamaam ahkaam masjid ke jaari nahi hote,

Fatawa Mehmudiya,, 3/161

       ▦══─────────────══▦

                ⊙  Zakaat  Sadqa

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 01- Mahar Per Zakaat ka Hukm

Mahar e Nikaah ki zakaat Mard Aurat ke zimme wajib he ya nahi?

ⓢ aur Mahar Ada nahi hua lihaza esi Surat me Mahar per zakaat ka hona lazim he ya nahi?

★ Mard jab Mahar aurat ko de de aur wo miqdaare nisaab ho aur us per saal bhi guzar jaye tab aurat ke zimme uski zakaat wajib hogi,

→agar wo miqdare nisaab nahi balki isse kam he aur aurat ke paas itni miqdaar mojood he jisko Mahar ke saath milakar poora nisaab ho sakta he to usko milakar zakaat Ada ki jaa’egi,

→Agar nisaab poora nahi ho sakta to us per zakaat nahi,

→ isi tarah Mahar vasool hone se pehle zakaat wajib nahi,

Fatawa Mehmudiya, 3/87

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Aurat ka Bager Shohar ki ittela apne samaan v Zever ki Zakaat dena  •

ⓢ Jis Aurat ke paas Zever Jahez ka ho wo bager Shohar ko ittela ke Zakaat Ada kar sakti he ya nahi?

★ Jahez ka Zever aurat ki milk he, uski zakaat uske zimme laazim he,

→Shohar se ijazat lene aur ittela karne ki zarurat nahi,

Fatawa Darul Uloom Devband, 6/47

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  03-Bivi ke Sahibe Nisaab hone se Shohar Sahibe Nisaab ka Hukm•

ⓢ Bivi agar Sahibe nisaab ho to uski vajah se Shohar bhi sahibe nisaab samjha jaa’ega ya nahi?

ⓢ Aur zakaat aur Qurbani kiske zimme he?

★ Bivi ke sahibe nisaab hone se shohar sahibe nisaab nahi hota,

→ Aur Qurbani vagera uske ( shohar ) zimme wajib nahi,

Fatawa Darul Uloom Devband,  6/50

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  04-  Zevraat jo Barabar na Pehne jaye un per Zakaat ka Hukm•

ⓢ Jo zever maah do maah rakh diya aur do maah teen maah barabar pehna gaya aur wo zever baqadre nisaab balki zyada he, us per zakaat he ya nahi?

★ Zever Sona Chaandi ka jab bamiqdaar nisaab ho usme zakaat wajib he,

→ chahe istemal kare ya na kare,

Fatawa Darul Uloom Devband, 6/59

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 05- Shohar Bivi ko aur Bivi Shohar ko Zakaat dene ka Hukm •

ⓢ Mard apni Aurat ko ya Aurat apne Mard ko zakaat de sakti he ya nahi?

★ Nahi, ( Mard Apni Aurat ko Zakaat nahi de Sakta )

Fatawa Darul Uloom Devband, 6/292

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 06-Aurat ka Fitra kis per Wajb he •

ⓢ Aurat ka fitra kis per wajib he, Mard per ya Baap per ya?

★ Aurar jab sahibe nisaab ho to Fitra usi per wajib he, agar Shohar Ada karega to Ada ho jaaega, Baap per wajib nahi,

Fatawa Darul Uloom Devband, 6/324

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 07- Bachcho ke Naam kiye Gaye Zever per Zakaat ka Hukm •

ⓢ Agar koi shakhs apni bachchiyo ke naam alag alag 5-5 tola sona ya zever rakh de k unki Shaadi me kaam aa sake to ye shar’an kesa he?

ⓢKya majmu’a per zakaat wajib hogi ya ye alag alag hone ki surat me wajib na hogi,?

★ Chuki zever bachchiyo ke naam kar diya gaya he isliye we iski Malik ban gayi, isliye us shakhs ke zimme iski zakaat nahi aur har ek bachchi ki milkiyat chuki nisaab ( Saade saat tola sona)se kam he isliye unke zimme bhi zakaat nahi,

★ Albatta Jo ladki balig ho aur uske paas zever ke alawa bhi naqad kuchh rupiya paisa ho chahe uski miqdaar kitni hi kam ho aur us per saal bhi guzar jaye to us ladki per zakaat laazim hogi,

→kyuki jab sone chandi ke saath kuchh naqdi mil jaye aur majmu’a ki qeemat saade bavan tola chandi ke barabar ho jaye to zakaat farz ho jati he,

★ Aur Jo ladki nabalig he uski milkiyat per zakaat nahi jab tak wo balig nahi ho jati,

Aapke Masail aur unka Hal, 3/366-367

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 08-Zever ke Rang per Zakaat nahi magar Khot Sone me Shumaar hoga

Kya zakaat khaalis sone per lagaenge ya zeveraat jis me rang vagera bhi shamil ho, ?

kya us rang ke vazan ko shamil karte hue zakaat laazim hogi aur is tarah se khot ka kya masla he?

Sone me Jo rang vagera lagate he un per zakaat nahi,

→ kyuki inko alag kiya ja sakta he albatta Jo khot mila dete hai’n wo Sone ke vazan hi me shumaar hoga,

→ us khot mile hue sone ki bazaar me Jo qeemat hogi uske hisaab se zakaat Ada ki jaaegi,

Aapke Masail aur unka Hal, 3/365

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 09- Bivi ke Zever ki  Zakaat ka Mutalba kisse hoga •

ⓢ Agar Shohar ki zaati milkiyat me koi Zever esa na ho jis per zakaat wajib hoti ho,
lekin jab uski bivi shadi hokar uske ghar aaye k us per zakaat wajibul Ada ho
aur bivi shohar ke ye halaat jaante hue k wo maqrooz bhi he aur uski itni tankhwah bhi nahi k wo zakaat ki raqam nikaal sake to
kya shohar per bager bivi ki taraf se kisi qurbani ke zakaat v qurbani wajib rahegi?

ⓢ aur kya Allah ta’aala shohar hi se iska mutalba karenge
aur kya bivi ye kehkar bari zimme ho jaaegi k shohar hi unka aaqa he aur unhi se sawal v jawab kiya jaaega,?

★ Chunki Zever bivi ki Milkiyat he isliye Qurbani v Zakaat ka mutalba bhi usi se hoga,

→Aur agar wo Ada nahi karti to gunahgar bhi wahi hogi,

→ Shohar se iska mutalba nahi hoga,

IEZAA,, 3/346

        ⊙ Talibe Dua,
        ⓖ Ahle deoband Group ,

     ━═─────────────────═━
★☆★

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦NAMAZ

⊙✵⊙
              
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯

        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

  
   ⊙✵⊙  As- Salaat ( Namaz)⊙✵⊙

        ⊙1- Namaz Izhare Bandgi He⊙

Namaz ki ahmiyat ke liye bas yahi kaafi he k musalman aur kaafir me farq yahi Namaz karti he, Qurane Kareem me 82 maqamaat per Allah ta’ala ne namaz ki takeed farmai, Qayamat ke din jab tamaam logo’n ko jama kiya ja’ega, us din sabse pehla sawaal namaz se mut’alliq hoga,

 Allah ta’ala ne insaan ko sirf aur sirf apni bandgi ke liye paida farmaya he aur is bandgi ko Baja lane ke liye ise tamaam sahulat muhaiya kar di, iske baad Allah ta’ala apne bando se iska izhaar chahta he,

Namaz ke liye takbeer e tehrima ya ” Allahu Akbar” keh kar namaz me dakhil hona shart he, baqi qayaam, ruku, sazda, qoma, jalsa aur tashahud, qa’ada akhirah ke saath namaz ko Ada kiya jata he,

•─━━━━━══════━━━━━─•

⊙1- Khwateen ki Namaz ka Tareeqa

Khwateen ki Namaz padne ka tareeqa kya he?

Bavazu paak jagah qibla rukh hokar namaz ki niyat kare, ( us waqt Jo bhi  namaz pani ho uski niyat kare),niyat dil ke iraade ka naam he agar zubaan se bhi keh le to bhi durust he,

niyat karke Allahu Akbar kahe’n, ise takbeere tehrima kehte hai’n, Takbeere tehrima kehte hue dono haath dupatte se bahar nikale bager kaandho tak uthaae, fir dono haath seene per is tarah baandhe k daahine haath ki hatheli baaye haath ki pusht per aa jaye,

Iske baad sana yaniSubhanakallahpade,

fir Surah FatihaAlhamdpade,
Firbismillahirrahmanirraheempadte hue Qurane paak ka koi surah pade ya kahi’n se bhi kam se kam Qurane paak ki 3 Aayate pade,

Iske baadAllahu Akbar” kehte hue ruku me jaye yani is tarah jhuk jaye k dono haatho ki ungliya’n milakar dono ghutno per rakhe aur dono bazu pehlu se mile rahe,

Ruku me kam se kam 3 martabaSubhana rabbiyal azeemkahe’n,

Iske baadSami allahu liman hamidahkehte hue khade ho jaye,

Fir khoob sidhe khade khadeRabbana lakal hamdkahe,

FirAllahu Akbar” kehte hue sazde me jaye,

Zameen per pehle ghutne rakhe, fir haath rakhe, fir dono haatho ke darmiyan chehra is tarah rakhe k pehle naak, fir maatha rakha jaye, aur haath is tarah rakhe k dono baahe’n zameen per bichh jaye aur haath, paanv ki ungliya’n qibla rukh rakhe, magar paanv khade na rakhe balki daahini taraf ko nikaal de aur khoob simat kar sazda kare k pet do no raano aur kuhniya’n dono pehluo’n se mil jaye, aur sazde me kam se kam 3 martabaSubhana rabbiyal A’alakahe,

Fir iske baad is tarah bethe k dono paanv apni raano per is tarah rakhe k ungliya khoob mili hui ho aur qibla rukh ho, fir Allahu Akbar kehte hue doosre sazde me jaye isme bhi kam se kam 3 martabasubhana rabbi Yal a’alakahe, ( doosre sazde ke khatm per ek raka’at ho gayi,, doosre sazde ke baad doosri raka’at ke liye Allahu Akbar kehte hue sidhi khadi ho jaye aur uthte waqt zameen per haath na teke, sidhi khadi hokar ” Bismillah …” puri pad kar surah Fatiha pade fir qurane paak ki koi Surat pade ya kam se kam 3 Aayate pade, iske baad sazda aur 2 sazde jis tarah pichhli raka’at me bayaan hue us tarah  kare, doosre sazde se farig hokar is tarah beth jaye jis tarah dono sazdo ke darmiyan bethna bataya gaya, fir tashadud yani Attahiyat akhir tak pade, Attahiyat me ” Ashhadu allailaha, ” per shahadat ki ungli uthaye ( dahine ki bich ki ungli aur anguthe ko milakar gol halka banaye) aur illallah kahe to to ungli ko jhuka de, ungliyo ki Jo shakl bani he ise salaam ferne tak baqi rakhe, Attahiyat ke baad darud sharif, fir dua Jo Quran Hadees me aai he, iske baad dahini taraf moonh karte hue ” Assalamu Alaikum wa rahmatullah ” kahe aur namaz se nikalne ki aur farishto per salaam ki  niyat kare, fir isi tarah baayi taraf salaam fere, ye 2 raka’at khatm hui,

 Agar 4 raka’at namaz padni ho to doosri raka’at me Attahiyat pad kar khadi ho jaye, uske baad teesri aur chothi raka’at puri kare aur akhir qa’ada me bethe to Attahiyat, darud sharif aur dua pad kar salaam ferle,

 Agar 3 raka’at  magrib ki farz  padni he to doosri raka’at me Attahiyat pad kar khadi ho jaye aur teesri raka’at puri karke akhir qa’ada me beth kar Attahiyat, darud sharif, dua tarteeb vaar padkar salaam ferle,

Tohfa e Khwateen, 20

•─━━━━━══════━━━━━─•

2- Aurto’n ka Azaan ka Jawab dena 

Aurto’ n ko bhi azaan ka jawab dena chahiye ya nahi?

 Jee haa’n, magar haiz v nifaas wali Aurat jawab na de,

Aapke Masail aur unka Hal,, 2/173

 3- Saadi me Aurto’n ki Namaz ka Hukm

 Aurto’n ki namaz saadi ya lahnga pehan kar durust he ya nahi?

 Agar waha’n ka rivaaj Aurto’n ke libaas ka yahi he to isme kuchh harj nahi, namaz ho jati he albatta ye zaroori he k satar pura chhipa hona chahiye,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/143

 Saadi baandhne me aksar Aurte’n be ahatyati karti hai’n aur aksar inka blowz naaf tak ya isse bhi ouper rehta he jiski vajah se adha ya chothai pet saadi baandhne ki vajah se khula rehta he, agar isi tarah khule hue namaz pad li to namaz na hogi,

•─━━━━━══════━━━━━─•

4- Bila Aasteen Kurte Blowz, Frok me Namaz ka Hukm

Half Aasteen ya Bila Aasteen ka kurta ya blowz ya frock pehan kar namaz padne se kya namaz ho jati he?

 Esi surat me apni baanho ko alag chadar se chhipana zaruri he, agar chadar vagera se chhipana bhool gayi to namaz nahi hogi,

        Aurto’n ke Libaas ke Ahkaam,

 5- Sazda aur Jalsa me Paanv kese Rakhe

 Aurto’n ko sazda v jalsa me paanv kese rakhna chahiye?

 Aurto’n ke liye qadmo ka khada karna sunnat nahi he, pas sazda aur jalsa me pero ko khada na kare’n aur jalsa v tashahud me dahini taraf paanv nikaal kar pade,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/461
•─━━━━━══════━━━━━─•

6- Aurato’n ka Namaz me Jahar se Quran Padna

Aurat agar nifl ya taraveeh ki namaz me qiraat bil jahar makaan ke andar pade to kya durust he?

 Aurat namaz me jahar nahi kar sakti, isliye k aurat ki awaaz bhi satar he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/219

7- Aurto’n ka Jahri Namaz me Qiraat karna  

 Aurte’n jahri Namaz me qiraat jahar ke saath kare ya ahista?

 Aurat sab namazo me qiraat ahista hi kare,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/264

•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•

8- Shohar ki Iqtda me Namaz

Koi Aurat tanhai me Khawind ke pichhe farz namaz pad sakti he ya nahi?

 Agar bivi apne shohar ke pichhe uski iqtda me namaz pade to durust he, magar usko barabar me khada na hona chahiye, pichhe khadi ho aur agar alhida niyat baandhe to fir chahe barabar khadi ho ya pichhe har tarah namaz durust he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/205

 9- Aurto’n ke Saamne aane Se Namaz per Asar

 Agar Namaz Ada karte waqt aurte’n saamne aa jaye to namaz ho jati he ya nahi?

 Aurto’n ke saamne aane se namaz me kuchh khalal nahi hota aur namaz faasid nahi hoti,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/110

•─━━━━━══════━━━━━─•

10- Aurto’n ki Jama’ate Taraveeh 

Chand Aurte’n haafizate Quran ye chahti hai’n k Taraveeh me Quran majeed apni jama’at se khatm kare’n, kya unka esa karna durust he?

 Aurto’n ki jama’at is tarah k Aurat hi imaam ho makrooh he, chahe taraveeh ki jama’at ho ya gair taraveeh ki, sab me Aurto’n ka imaam hona aurto’n ke liye makrooh he,

Note  Bilfarz agar kahi aurte’n jama’ate taraveeh kar leti hai’n to hifazate khwateen ke liye iski gunzaish he, karahat ke saath jama’at ki namaz ho jati he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/265

 11- Aurto’n ki Vitr ki Jama’at 

 Aurte’n Vitr ki jama’at kare ya nahi kare?

 Vitr ki jama’at aurte’n na kare,

Fatawa Darul Uloom Devband,,, 4/299

•─━━━━━══════━━━━━─•

12- Aurat Mardo ke Pehlu me Khade ho Jaye to kya Hukm

Ek aurat zuhar v asar panjgana namaz me aakar khud ba-jama’at mardo ke barabar khadi ho jaye to Mardo ki namaz hui ya nahi?

 Esi Surat me Jo mard balig us aurat ke barabar he, uski namaz nahi hogi, yani ek mard daayi aur ek baayi taraf ho to us aurat ke hai’n, un dono ki namaz nahi hogi,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/68

 13- Namaz me Aurat ke Takhne khule Rehna 

 Namaz ki haalat me aurat ke takhne khule rahe to namaz ho jaa’egi ya nahi?

 Qa’ada ( rule) ye he k agar bhool se ek chothai uzv ( part) 3 baar ” Subhana rabbi yal a’ala ” kehne ki miqdaar tak khula rahe to namaz faasid ho jati he,
aur qasdan ek chothai hissa ek lamha bhi khula chhod diya to namaz faasid ho gayi,

Ek chothai hissa se kam satar khulna chahe bhool se ho ya qasdan 3 tasbeeh ki miqdaar se kam ho ya zyada baharhal mufsid nahi,

Takhne pindli ye saath milkar ek uzv he aur ek chothai se kam he, isliye namaz ho jaa’egi,

Ahsanul Fatawa,, 3/ 402

•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•

14-:Namaze Juma me Aurto’n ki Shirkat Makrooh he

Aurte’n Shehar ki Jaama Masjid me parde kesaath namaz juma ada kar sakti he ya nahi?

Juma ke bahane vaaz v nasihat bhi sun sakti he,?

Aurat ke liye ahatyat aur parda ki zyada jarurat he aur jalbe nafa se dafa e mazarrat muqaddam he, isliye fuqha ne aurto’n ka Jama’at, Juma, aur Eiden aur vaaz v Nasihat ki majlis me shamil hone ko makrooh farmaya he,

Fatawa Darul Uloom Devband,,, 5/15

 15- Aurat ka Khuli jagah me Namaz padna 

 Aurat agar musafir ho to wo kasr karegi lekin agar kahi ser tafreeh ke liye jaye jaha kasr ki namaz uske liye lagu na ho, magar namaz ka waqt ho gaya, kya wo khuli jagah me namaz Adakar sakti he?

 Sharai Safar me to baharhal wo kasr karegi, magar ser tafreeh ke liye gayi he aur namaz khuli jagah me padna padegi to bhi uska padna durust he, tamaam badan ko dhaank kar is tarah k sirf haath aur qadam aur chehra khula rahe, uski namaz durust he agar pero me moze ho aur haatho me dastane tab bhi namaz durust he,

Fatawa Mehmudiya,, 14/210

•─━━━━━══════━━━━━─•

18-Tangi e waqt me paak hui aur 10 din se Kam Haiz aaya to Namaz ka Hukm 

Agar 10 din se kam haiz aaya aur ese waqt me khoon band hua k namaz ka waqt bilkul tang he to Namaz ka kya hukm he?

 Agar 10 din se kam haiz aaya aur ese waqt me khoon band hua k namaz ka waqt bilkul tang he to jaldi furti se nahale aur nahane ke baad agar itna waqt bache k sirf ek baar ” Allahu Akbar” keh kar niyat baandh sakti he isse zyada kuchh nahi pad sakti he tab bhi us waqt ki namaz wajib ho ja’egi aur qaza padni padegi,
aur agar isse bhi kam waqt ho to Namaz maaf he uski qaza padna wajib nahi,

Masaile Gusl,, 25

13- Ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to Namaz ka Hukm 

 Agar ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to Namaz pade ya nahi pade?

 Agar ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to nahana wajib nahi vazu karke namaz pade lekin abhi sohbat karna durust nahi,

agar 15 din guzarne se pehle khoon aa gaya to maloom hoga k wo haiz ka zamana tha, hisaab se jitne din haiz ke ho unko haiz samjhe aur gusl karke namaz pade aur poore 15 din guzar gaye aur khoon nahi aaya to maloom hua wo isthaza tha aur ek ya do din khoon aane ki vajah se Jo namaz nahi padi ab unki qaza pade,

Masaile Gusl,, 24
•─━━━━━══════━━━━━─•    •─━━━━━══════━━━━━─•

20- Raham me dava rakhkar Namaz Padna

Agar haalate bimari me aurat ko Jo dava andar rakhani padti hai’n, is haalat me namaz ko Ada kare ya nahi?

 is haalat me namaz pad le qaza na kare,

Fatawa Mehmudiya, kitabussalalat, 98

 21- Lekuriya ki haalat me Namaz ka Hukm 

 Lekuriya ka pani is tarah ho k paaki ki haalat me namaz padna mumkin nahi to iska kya hukm he?

 Wo har namaz ke liye vazu kare aur uska vazu us waqt tootega ( agar vazu tootne ki koi doosri vajah pesh na aaye) jab namaz ka waqt nikal jaa’ega,

Maslan – Suraj tulu’a hone ke baad usne namaz ke liye vazu kiya ab us vazu se zuhar ki namaz pad sakti he aur uska vazu us waqt tootega jab zuhar ka waqt nikal jaa’ega, jabki is dauran use lekuriya ke uzr ke alawa vazu tootne ki koi doosri vajah pesh na aaye varna vazu toot ja’ega,

Makhooz Az Shaami,, 1/306

      ⊙ Talibe Dua,
      ⓖ Ahle deoband Group
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
•─━━━━━══════━━━━━─•