[ ⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Naza ke waqt ki takleef
━─────────────────━
⊙ PART -31 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→hadees paak me hain agar Jaanwaro ko apni maut ka tumhari Tarah ilm hota to tumko koi mota janwar khane ko nahi milta
★→ghor kijy agar kisi ki ungli kat jay to kitna dard hota hai is hisse me se rooh nikal kar baqiya jism me simat gayi ab agar is ungli me se rooh nikalne ki itni takleef hoti hai or jab poore jism ki rooh nikal rahi hoti hai tab kya Aalam hota hoga
★→ek misaal de kar samjhaya gaya hai agar kanto wali ek tehni insaan ke jism me dakhil karde or ek dam se usko kheechLe to jese poore jism me kante chubhe hain or uski takleef mehsoos hoti hai isi tarah maut ke waqt insaan ko takleef mehsoos hoti hai
★→dusri misaal de kar farmaya maut ke waqt insaan ko itni takleef hoti hai jese zinda bakri ki khaal kheenchi ja rahi ho
★→hazrat Ali rz jab khutba dete to us waqt mujahideen se farmate ay mujahid Allah ta'aala ke raste me shaheed ho jaoge to tumhe bilkul takleef nahi hogi or agar ghar jaa kar maroge to tumko qechi'yon se katarne se zada takleef hogi ba'aaz oqaat farmate the degh me bhoon dene se zada tumhe takleef hogi
★ → isliy farmaya murdon ko bura na kaho kiyu ke wo apni jaza ya saza ko pohuch chuke hain isse maloom ye hua ke maut ki takleef bahut zada hoti hai
★→balke ap huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne maut ke bare me farmaya
★←والله لو تعلمون ما اعلم لضحكتم و لبكيتم كثيرا ولا تلذذتم
بالنساءالفر شات
★→ khuda ki qasam jo kuch me jaanta hun agar tum jaante to tum kam haste zada rote or bistaron par apni aurton se lutf andoz na hote yani tum apni bivi ke sath sohbat nahi kar pate
★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti se bachay Aameen
(pαʀт ⇨32)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /32-33/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Maut ki sakhti
━─────────────────━
⊙ PART -32 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→hazrat sufyaan sori rh farmate hain jab malakul maut dil ki rag ko chute hain us waqt Aadmi logon ko pehchaan nahi sakta zabaan bhi band ho jati hai or duniya ki sab cheeze bhool jata hai us waqt itni shadeed takleef hoti hai ke agar us waqt maut ka nasha sawar na hoto qareeb bethne walon par talwaar chalane lag jay
★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti se bachay Aameen
(pαʀт ⇨33)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /33/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Maut ki kefiyat
━─────────────────━
⊙ PART -33 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→hazrat umar bin aas rh apni mehfilon me aksar kaha karte the ke maloom nahi marne wale apne aakhri waqt ki kefiyat bayan kiyu nahi karte
★→jab in par rooh nikalne ka Aalam tari hua to bete ne kaha abba jaan Ab Aaphi apni kefiyat bayan karden
★→apne farmaya beta aisa mehsoos hota hai ke mera jism Aag ke takhte par hai sooyi ke nake se sans aarahi hai or ohad pahad mere seene par rakh diya gaya hai
★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti se hifazat farmay Aameen
(pαʀт ⇨34)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /33/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Namazi Aadmi ke liy
Kalma tayyaba ki
Talqeen
━─────────────────━
⊙ PART -34 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ek riwayat me aata hai ke malakul - maut namazon ke waqt me Aadmiyon par nazar rakhte hain
★→jo Aadmi waqt par namaz padhne ka ahtamam karte hain unko uski wafaat ke waqt khud hi kalma tayyaba ki talqeen karte hain or shetaan ko uske pass se hata dete hain
★→Ab Aap sab khud hi batay ham me se kon hai jo ye nahi chahta ke hame malakul maut---muat ke waqt kalma tayyaba ki talqeen na kare
★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabko maut ke waqt kalma tayyaba naseeb farmay
Aameen
(pαʀт ⇨35)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /34/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ *maut ki tayyari* ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ek sharabi ki maut
━─────────────────━
⊙ PART -35 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→jo log apni bad'aamaliyon se Allah ta'aala ko naraz kar lete hain or poori zindagi Allah ta'aala ki nafarmani me dhut rehte hai inki maut bhi isi haal me hoti hai
★→inke aakhir lamhaat me inki zabaan par wahi kuch hota hai jo inke dilo me bhara hota hai
★→basra me ek buzurg the wo kehte hain ke ek shaksh jab marne laga log usko kalma tayyaba ki talqeen karne lage Lekin iski zabaan se nikaal raha tha
★→sharab ka gilaas too bhi pee mujhe bhi pila too bhi pee mujhe bhi pila Astaghfirullah Allah ta'aala ham sab ki hifazat Farmaye
Aameen
(pαʀт ⇨36)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /34/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Ulama e deoband
Group
Male and female
+91-9720702010
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Forward to all Muslim
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
https://allmasail.blogspot.com
visit for daily updates
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ek ghafiL ki maut
Ka manzar
━─────────────────━
⊙ PART -36 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ek shakhs ka jab inteqaal hone laga log usko kalma padhne ki talqeen kar rahe the
★→ magar wo kisi cheez ke bechne ka kam karta tha karobar karta tha or namaz ki parwaah nahi karta tha
★→isliy wo jawab me kehne laga das das rupy giyara giyara rupy bara bara rupy
*Astaghfirullah*
*★→Allah ta'aala ham sako bajamat namaz padhne ki tofeeq Ata farmaay or marte waqt kalma tayyaba naseeb farmaay Aameen*
(pαʀт ⇨37)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /34/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
SaFar aakhirat ki
Ki
ManziLen
━─────────────────━
⊙ PART -37 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
★ PehLi manziL★
★→ pehLi manziL sakraat ki manziL hai marne se pehLe jab insaan ki sans ukhad jaati hai us waqt ko sakraat ya nazaa kehte hain
★→ye kefiyat Tari hone se PehLe pehLe insaan ke liy toba ka darwaaza khula rehta hai is waqt nek Aadmi ke istaqbaal ke liy jannat se farishte Aate hain
★→or jab ghunaahgar Aadmi ki maut ka waqt aata hai to us waqt jahannam se farishte aate hain unke pass jahannam ke hathode hote hain iski rooh ko qabz karte huy farishte bad'bu ki wahah se naak par parda rakhLete hain nabi-e-kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam ne kar ke dikhaya hai
★→ Allah ta'aala ham sabko ghunaaho se bachne ki tofeeq Ata farmaay
Aameen
(pαʀт ⇨38)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /35/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
SaFar aakhirat ki
Ki
ManziLen
━─────────────────━
⊙ PART -38 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
★ Dusri manziL★
★→ insaan ke safar-e-aakhirat ki dusri manziL qabar hai hadees shareef me Aata hai ke qabar ko matti ka dher na samjho baLke ya to ye jannat ke baghon me se ek baagh hai ya jahannam ke gadhe me se ek gadha hai
★→jab kisi nek Aadmi ko qabar me rakha jata hai to qabar usse mukhaTib ho kar kehti hai duniya me jitne insaan the mujhe unme sab se zada muhabbat tujhse thi ab too mere pass aaya hai ab mera husne salook bhi dekhna iske baad wo qabar itni wasee ho jati hai ke jahan tak us mard ki nazar jaati hai wahan tak qabar wasee ho jaati hai
★→or jab kisi ghunaahgar Aadmi ko qadar me rakha jata hai to qabar isse mukhatib ho kar kehti hai ke duniya me jitne insaan base the us sab me se mujhe tujhse zada nafrat thi ab too mere pass aaya hai to mera salook bhi dekhna iske baad qabar usko itna dabati hai ke ek taraf ki pasliyan dusri taraf ki pasliyon me ghus jaati hain
Allah hu akbar
★→ Allah ta'aala ham sab ki hifazat farmaay
Aameen
(pαʀт ⇨39)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /35/36/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
: ⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
SaFar aakhirat ki
Ki
ManziLen
━─────────────────━
⊙ PART -39 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
★ Teesri manziL★
★→ safar aakhirat ki Teesri manziL hashr hai hadees shareef me Aata hai ke hashr ka ek din pachas hazaar saal ka hai
★→kafiron ke liy pachas hazaar saal ka din hoga magar Allah walon ke liy chand lamho ke barabar hoga
★→hadees shareef me Aata hai nabi - e - kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam ne farmaya ke imaan walon ke liy qayamat ka din Fajar ki do raka'at Sunnat padhne ke barabar hoga
★→ sayyadah hazrat aaisha siqdiqa rz farmati hain ke nabi - e - kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam ki sab se mukhtasar namaz Fajar ki do Sunnaten hua karti thi
★→baaz riwaayat me aata hai suraj ki 7 aankhen hain is waqt ek aankh khuli hui hai roze mehshar me saaton aankhe kholega
★→us waqt nafsi nafsi ka Aalam hoga har shakhs apne gunaahon ki baqadar apne paseene me duba hua hoga koi gutno tak koi takhno tak koi gale tak apne paseene me duba hoga
★→yahi nahi ki wo sirf paseena hoga balke wo paseene me jal raha hoga
★ → Allah ta'aala ham sabko qayamat ke din apne arsh ka saya naseeb farmaay
(pαʀт ⇨40)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /36/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
SaFar aakhirat ki
Ki
ManziLen
━─────────────────━
⊙ PART -40 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
★ Teesri manziL★
★→ Lekin baaz mut'taqeen ko itna thoda paseena aayga jitna betulkhala yani (toilet) me bethne wale ko Aata hai
★→us din Allah ta'aala ke arsh ke say ke siwa or koi saya nahi hoga
★→7 qisam ke bande us din Allah ta'aala ke arsh ke say ke niche honge
★→1 AadiL badshah
★→2 wo nojawan jo jawani me Allah ta'aala ki ibadaat karta tha
★→3 wo shakhsh jis ka diL masjid me atak raha ho yani masjid me diL Lagta ho
★→4 wo do shakhsh jinme Allah ta'aala hi ke waste muhabbat ho isi par inka ijtama ho isi par inki judayi
★→5 wo shakhsh jisko koi haseen aurat apni taraf muwajje kare or wo kahe mujhe Allah ta'aala ka dar ma'ne hai
★→6 wo shakhsh jo aise makhfi tariqe se sadqa kare ke dusre hath ko bhi khabar na ho
★→7 wo shakhsh jo Allah ta'aala ka zikr tanhayi me kare or uske aansu behne lage
★→ us din kisi shakhsh ke qadam bhi us waqt tak apni jagah se harkat nahi kar sakege jab tak ke wo char sawalon ke jawab na de lega
★→1 pehLa sawal kya jayga apni umar kin kamo me guzaari
★→2 dusra sawaL hoga ke apne jism ki tawanayi yani taqat kahan kharch ki
★→3 teesra sawal hoga apne iLm par kitna amal kiya
★→4 or aakhri sawaL hoga maal kahan se hasil kiya or kin kin kamo me kharch kiya tha
(pαʀт ⇨41)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /36/37/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Ulama e deoband
Group
Male and female
+91-9720702010
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Forward to all Muslim
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
https://allmasail.blogspot.com
visit for daily updates
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
SaFar aakhirat ki
Ki
ManziLen
━─────────────────━
⊙ PART -41 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
★ chothi manziL★
★→ chothi manziL mizaan ki hai in moqo par koi Aadmi bhi kisi dusre ka pareshane haal nahi hoga inme se ek mizaan ka moqa hai mizaan ke waqt har insaan ko ye khatra hoga ke maloom nahi mere Nek Aamal ka pal'da bhari hai ya ghunaaho ka
★→ panchwi maziL←★
★→safar aakhirat ki panchwi manziL pulsiraat hai ye ek aisa pul hoga jo baal se zada bareek or talwaaar se zada teez hoga
★→is par se har Aadmi ko guzarna padega ye pul bilkul andhere me hoga
★→imaan wale log jab is ke upar se guzrenge to inke pass imaan ka noor hoga or jo log kafir honge unke pass noor hi na hoga
★→wo imaan walon se kahenge ke bhai hame bhi apni roshni se fayda uthane do wo unse kahenge ke nahi ye roshni to duniya me mila karti hai
★→iske baad imaan walon or kafiron ke darmiyan ek diwaar banadi jaygi jis ki wajah se wo bilkul hi andhere me reh jaynge
★→qayamat ke din log apne gunaahon ki shakal ke Mutabiq khade kiy jayge kuch ke chehron par noor hoga or kuch ke siyaah
(pαʀт ⇨42)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P /36/37/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Mutakabbir
Ki
Halat
━─────────────────━
⊙ PART -42 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ mere doston jab koi banda uncha boL boLta hai to Allah ta'aala ka gussa bhadak'ta hai Allah ta'aala irshad farmate hein buLandi or Azmat meri chadar hai)
★→koi or aisa boL zabaan se kese nikaaL sakta hai hadees paak ka mafhum hai qayamat ke din ek shakhsh aisa hoga ke Allah ta'aala uska qad chewti ke barabar bana denge ye kis liy isliy ke duniya me wo takabbur karne wala tha unche boL boLne wala tha
★→roze mehshar me Allah ta'aala isko itna chota qad denge take sari makhlooq misl misl kar aage guzre or iski ziLLat or ruswaai ho
(pαʀт ⇨43)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //38/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ahkaame ilaahi
Se
Muh modne wale ki halat
━─────────────────━
⊙ PART -43 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ hadees shareef me Aata hai ke jo shakhsh shari'at ke Ahkaam se aankh band kar ke zindagi guzaarta raha Quraan or hadees ki bataon se usne aankh ko band kiy rakha to Allah ta'aala farmate hain aise shakhsh ko ham Qayaamat ke din andha uthayge
(pαʀт ⇨44)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //39/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ghairon se sawaL
Karne
wale ki halat
━─────────────────━
⊙ PART -44 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ Ek wo Aadmi jo ghairon se sawaL karta hai faqeer banta hai iske bare me hadees paak me aata hai ke Qayamat ke din Allah ta'aala iske chehre se sab ghosht khatm kar denge chehre par faqat hadiyan hi hadiyan hongi {kis liy} ye isliy hoga ke ye ghair ki taraf jhukta tha use saLaam karta tha or usse sawaL karta tha Aaj ke din iske chehre ki ronaq khatm kardi gayi sab use dekh kar pehchan lenge ke ye Allah ta'aala ko chod kar ghairon se mangta tha ghairon se sawaL karta tha
(pαʀт ⇨45)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //39/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Na insaafi
Karne
wale ki halat
━─────────────────━
⊙ PART -45 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→hadees paak me aata hai ke jis Aadmi ki do biviya'n hongi or wo inme insaaf nahi karta hoga Qayamat ke din Allah ta'aala usko faLij zada Aadmi ki tarah khada karega or log door se hi pehchan Lenge ke ye na'insaafiyon ki zindagi guzaarne waLa banda hai
(pαʀт ⇨46)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //39/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Ulama e deoband
Group
*Male and female*
+91-9720702010
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Forward to all Muslim
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
https://allmasail.blogspot.com
visit for daily updates
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Deen ko farokht
Karne
wale ki halat
━─────────────────━
⊙ PART -46 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ba'aaz logon ki peet bahut badi degh ke manind hogi inki peeton ke andar angare bhare huy honge or wo angare inko jaLa rahe honge or ye chiLLa rahe honge {ye log kon honge} ye wo log honge jo deen ko chand paison ki khatir farokht karne wale honge yani bechne waLe honge pas wo apni peet Aag se bhar rahe hain or Qayamat ke din Allah ta'aala inse hargiz kalam nahi karega or inke liy bahut bada azaab hoga
(pαʀт ⇨47)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //40/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Zameen par najayaz
Qabza
Karne
wale ki halat
━─────────────────━
⊙ PART -47 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→wo Aadmi jisne duniya me kisi ki zameen par najayaz qabza kiya hoga uske bare me hadees shareef me Aata hai ke saath zameen niche tak jitna zameen ka tukda banega wo sara ka sara qayamat ke din utha kar uske sar par rakha hua hoga or wo is haal me khada hua hoga sari duniya dekhegi ke isme kisi ki zameen par najayaz qabza kiya hua tha
★ → mere doston hamto itni si himmat ke malik hain ke hamare liy sar par ek baalti uthana mushkiL hai ham itni badi zameen ka bojh kese utha sakege
★→Lekin phir bhi ham kisi dusre ki kayi kayi ikad or kayi kayi murabba par qabza kar ke bethe hote hain or apni jaydaad banayi hoti hai
(pαʀт ⇨48)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //40/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Maut
Ki
Kefiyat
━─────────────────━
⊙ PART -48 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→hazrat umar bin'aas rz apni mehfiLon me aksar kaha karte the ke maloom nahi ke marne waLe apni aakhri waqt ki kefiyat bayan kuyu nahi karte jab un par jaankuni ka Aalam taari hua to bete ne kaha abba jaan ab aaphi apni kefiyat bayan karden apne farmaya beta aisa mehsoos hota hai ke mera jism Aag ke takhte par hai sooyi ke nake se sans aarahi hai or ohad pahad mere seene par rakh diya gaya hai
(pαʀт ⇨49)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //40/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Hazrat umar
Bin
Zar rh ki kasre nafsi
━─────────────────━
⊙ PART -49 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→imaam abu hanifa rh ek dafa hazrat umar bin zar rh ki Eyadat ke Liy tashreef le gay poocha kya haal hain farmaya kya mumkin hai Allah ta'aala hame azaab de jab ke hamare seeno me toheed hai phir Allah ta'aala ki taraf mutawajje ho kar kaha ay parwardigaar us shakhsh ki Maghfirat farma jo jadu gharon ki halat par hai unhone kaha tha ke ham parwardigaar par imaan lay hain
(pαʀт ⇨50)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //41/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Gham or khushi
Ka
Sabab
━─────────────────━
⊙ PART -50 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→kitaabuL aqa'iq me hai ke hazrat Aadam Alayhivasallam ko iblees se gham to is baat ka pohcha tha ke wo jannat se nikalne ka zarya bana
★→magar khushi is baat ki hui ke khata ko Allah ta'aala ne shetaan ki taraf mansoob kar diya
★→Farmaya shetaan ne in dono ko lagh'zish me daaL diya
★→hazrat ibraheem Alaihivasallam ne naar namudaar ko dekha to gham hua lekin jab usko salamati ke sath paya to khushi hui
★→hazrat moosa Alayhivasallam ki walda ko gham tha ke bete ko darya me daaL diya magar khushi hui firoon bhi darya me dooba
★→hazrat yaqoob Alayhivasallam ne bete ka kurta khoon Aaluda dekha to gham miLa lekin jab Hazrat yusuf Alayhivasallam ne apni qamees bheji to binayi bhi unhe wapas miL gayi
★ → UsooL ye nikalta hai jo cheez gham ka sabab bane khushi ka sabab bhi wahi cheez banTi hai pas jo shakhsh duniya me Allah ta'aala ke khoof se ghamzada rahega roze mehshar me biLa hisaab kitaab ke bakhsha jayga to Allah ta'aala ki rehmat se khushi bhi usi shakhsh ko hogi
(pαʀт ⇨51)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //41/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Ulama e deoband
Group
Male and female
+91-9720702010
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Forward to all Muslim
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
https://allmasail.blogspot.com
visit for daily updates
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
MalakuL maut
Ki
Maut
━─────────────────━
⊙ PART -51 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mere doston ek waqt aayga ke maut lane waLe farishte ko bhi maut aaygi
★→hazrat Muhammad bin ka'ab qurzi rh farmate hain sab se aakhir me malakuL maut par maut aaygi
★→Allah ta'aala use hukm denge ke ay malakuL maut too marja
★→to us waqt ke baad wo ek aisi cheekh marega ke agar use sab aasmano or zameen waLe sunLe to ghabrahat se mar jay
★→uske baad us par maut waqiy ho jaygi hazrat ziyad namiri rh farmate hain ke baqi makhlooqat se zada malakuL maut par maut sakht hogi
(pαʀт ⇨52)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //42/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
MalakuL
Ka
Kaam
━─────────────────━
⊙ PART -52 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→insaan ko dhan dolat kamane ki fikr rehti hai or maut ko biLkuL bhooL jata hai
★→karobari hazrat apna hisaab kitaab thik thak rakhte hain jo dena ho waqt par dete hain jo lena ho waqt par lete hain
★→yahi kaam malakuL maut karta hai
★→seth ji ko fikr thi ek ek ko das kijy
★→aaya malakuL maut boLa jaan wapas kijy
(pαʀт ⇨53)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //42/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Maut
Ki
Hikmaten
━─────────────────━
⊙ PART -53 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→mash'hoor qoL hai dana ka koi kaam danayi se khaLi nahi hota isi tarah maut agar che ghamnaak mamLa hai magar isme bhi Hikmaten hain
★→{1} maut ke zary jaza or saza ka iLm hota hai Agar maut na hoti to nekon ki riyazat or unke mujahidon ka ajr kese miLta phir Zalimon or qatilon ko unke kiy ki saza kese milti maut ne sab ko asaan kar diya
★→{2} agar maut na hoti to zameen me Aabad kari masLa ban jaati Aaj 5 arab Aabadi par duniya nasaL bandi ka shor machati hai agar 300 arab ho jaate to kya banta hadees paak me hai tamaam insaano ko Aadam Alayhivasallam ki pusht se nikaala gaya magar un sab ki jisamat chiwtiyon ke manind thi farishte inki tadad par heraan reh gay ke ye kahan samayge Allah ta'aala ne farmaya ke zameen par farishton ne arz kiya jagah kam pad jaygi Allah ta'aala ne farmaya ke in par maut musaLLat kar dunga agLe jaate rahenge pichLe aate rahenge zameen kam na padegi farishton ne arz kiya phir to inki zindagi taLkh ho jaygi or inko har waqt maut ka khatra rahega Allah ta'aala ne irshad farmaya ke me in par ummeeden MusaLLat kar dunga
★→{3} agar maut na hoti or bade zinda rehte to choton ki salahiyaton ka izhaar na ho sakta mash'hoor maqoLa hai ke mujhe badon ki maut ne bada bana diya Agar nabi - e - kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam duniya se parda na farmate to Siddiqe akbar rz ke johar kese khiLte farooqe Aazam rz ki Adalat ke munazir duniya kese dekhti mufassireen Muhaddiseen or fiqah ka siLsiLa kese chaLta hifaaate deen ke liy Ulama e ummat ki Qurbaaniyan dene ke moqe na aate
(pαʀт ⇨54)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //43/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
BeLooL ke nazdeek
Sab se
Ziyada bewakoof Aadmi
━─────────────────━
⊙ PART -54 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★→ mere doston
man
marzi ki zindagi
ghuzaarne waLe
khasare me
rahenge
��������
★→ khaLifa haroon rasheed ke pas ek martaba behLooL Aay haroon rasheed ne unhe ek khoobsurat chadi de kar kaha behLooL ye chadi kisi bewakoof ko de dena behLooL wo chadi lekar ghar aagay kuch arse ke baad haroon rasheed bimaar huy kafi iLaaj karwaya magar sehatyab na ho sake behLooL ko pata chaLa to wo bhi Eyadat ke liy badshah ke pass aay usne badshah se kaha badshah salamat Agar apne ek jagah se dusri jagah safar karna ho to kya ap pehLe wahan ka intezaam check karwate hain badshah ne kaha han check karwata hun phir poocha agar wahan kisi cheez ki kami ho to kya ap wo kami poori karte hain badshah ne kaha han wo bhi poori: karta hun phir behLooL ne kaha badshah salamat ap is waqt bistar marg par pade hain duniya se jane ke baad pehLe apko qabar me jana hoga kya apne wahan ka intezaam check karwaya hai badshah ne kaha nahi phir behLooL ne kaha kya apne Qabar ke saman me se har tarah ki kami ko poora karwa diya isne kaha nahi jab isne kaha mene kuch bhi intezam nahi karwaya to behLooL ne wo chadi nikaaL kar haroon rasheed ko dedi or kaha badshah salamat mujhe duniya me apse bada bewakoof koi bhi nazar nahi aaya Lihaza aphi is chadi ke zada haqq dar hain
(pαʀт ⇨55)
Nεxт тimε insнα αllααн
/
Maut ki tayyari
P //44/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Aakhirat
Ki
Zindagi Ki misaaL
━─────────────────━
⊙ PART -55 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ Ek buzurgh farmaya Karte the
Ke ay Dost jitna tum ne duniya
Me rehna hai utni tum
Duniya ke liy koshish
Karlo or jitna tumko Aakhirat
Me rehna hai utni aakhirat
Ke liy mehnat karlo
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
★ imaam ghazaLi rh aakhirat
Ki Zindagi ki misaaL
Bayan farmate hain
Ke agar koi Aadmi apni
Mut'thi me ray ke dane
Le to hazaron ki tadaad
Me wo dane uski mut'thi
Me Aajayge agar inko jhoLi
Me daLen to hazaron
Ki Tadaad me jhoLi me
Bhar jayenge or agar sari
Duniya me rayi ke
Dane is tarah pheLa
Diye jaye ke ye uncha
Hote hote Aasman tak
Pohuch jayen Yani
Aasmaan or zameen
Ka sare ka sara darmiyani
KhaLa rayi ke Danon se
Bhar diya jay or Ek parinda
Hazar saal ke baad usme se
Ek dana khay Phir hazaar
Saal ke baad Dusra dana
Phir hazaar saal ke
baad Teesra dana to
Ek waqt aayga ke wo
Dane khatm ho jayenge
Magar ay insaan teri aakhirat
Ki Zindagi kabhi bhi khatm
Nahi hogi pas hame
Chahiye ke zindagi ki mohlat
Ko Ghanimat samjhte
Huy khoob dat kar aakhirat
Ki tayyari kare jis insaan
Ke diL me aakhirat ki yaad
Hoti hai to usko choti choti
Baten bhi ibrat sikhati
Hain
(pαʀт ⇨56)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //45/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Ulama e deoband
Group
Male and female
+91-9720702010
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
Forward to all Muslim
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
https://allmasail.blogspot.com
visit for daily updates
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Fikr-e-aakhirat
━─────────────────━
⊙ PART -56 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ Aqalmand hai wo insaan
Jo har waqt Aakhirat ki tayyari
Ki fikr me laga rehta hai
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
★ Ay wo shakhsh jo Dunya
Me mashghooL uske
Dhoke or ummeeden lambi
Hain kya ye hamesha
Ghaflat me rahega
Hatta ke isi halat me
Iski maut Aajaygi or
Maut to achanak aaygi or
Qabar AmaL ka sandooq
Hai us holnakiyon par sabar
Kar maut sirf apne waqt'
Muqarrarah par hi aaygi
(pαʀт ⇨57)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //45/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ek bacche ko
aakhirat ki fikr
━─────────────────━
⊙ PART -57 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ behLooL dana ek buzurgh
The wo kahin ja rahe the unho
Ne raaste me kuch ladkon
Ko dekha wo kheL rahe the
Un se aage thode se fasLe par
Ek ladka khamosh betha tha
Uske chere par sanjeedgi
Or udaasi nazar Aati thi
Farmate hain mene diL se
Qayafa lagaya ke ye dusre .
Bacche use apne sath
KheLne nahi dete isliy ye.
Maghmoom betha hai
Chunache mene socha
Chalo me iski dad rasi kar
Deta hun wo khush ho jayga
Me us bacche ke qareeb
Gaya or kaha kya tujhe
Dusre bacche apne sath
kheLne
Nahi dete usne meri taraf
Aankh utha kar dekha or
Kehne laga behLooL Aaqa
Ka farman hai kya tum
Gumaan karte ho ke hamne
Tumko be fayda peda kya
Hai Isliy hame kheL kood
Ke liy to nahi peda kya gaya
Me heraan hua ke itne kam
Umar bacche ne itni mazboot
Or pakki baat kahi mere
DiL me khayaL aaya ye baccha
Bada dana nazar aata hai
Baqi in sha Allah next time
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
(pαʀт ⇨58)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //45/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Ek bacche ko
aakhirat ki fikr
━─────────────────━
⊙ PART -58 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ mene kaha mere beten
Mujhe kuch naseehat
Kar dijy usne kuch ash'aar
Padhne shuru kar diy jin
Ka matlab tha ay
musafir. Tera safar lamba
Hai apne safar ki tayyari
Karle mene ye sun kar
Rona shuru kar diya jab
Tabiyat
Zara bahaL hui to mene
Usse poocha ay ladke
Teri umar to bahut thodi
Hai abhi se too dozakh
Se itna kiyu dar raha
Hai Allah ta'aala ki zaat
Ki hebat se itna zada
Kiyu kanp raha hai wo
Kehne laga behLooL
Me ghar me dekhta hun
Ke meri waLidah jab Aag
Jalati hai to choti choti
Lakiyon ko Ikhattha kar ke
PehLe aag siLgati hai phir
Badi lakdiyon ko daLti
Hai to Aag bhadak uthti
Hai behLooL jab me ye
Manzar dekhta hun to
kanp uthta hun diL me
KhayaL aata hai
ke Allah ta'aala ne jahannam
Ko badhkane ka wada
Kiya hai kahin aisa to nahi
Ke roze mehshar
Me choti umar ke baccho
Ko Ikhattha kar ke jahannam
Ki Aag me pehLe daLen
Ke aag siLag uthe or phir
Bade logon ki bari baad
Me aay me isliy rota hun
Ke Allah ta'aala
mujhe jahannam se
Panaah ata farmaa
De behLooL rh farmate
Hain ke ye sun kar meto
Behosh ho gaya magar Wo
Ladka kahin chaLa gaya
Allah hu akbar kya
Fikr thi is bacche ko
Allah ta'aala ham
Sab ko bhi aisi fikr
Ata farmaay Aameen
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
(pαʀт ⇨59)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //47/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Hazrat habeeb
Ajmi rh ki maut
Ke waqt ghabrahat
━─────────────────━
⊙ PART -59 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ Hazrat habeeb Ajmi rh
Hazrat hasan basri rh
Ke mureed the jab inteqaal
Ka waqt qareeb aaya to
Bahut ghabrane lage
Kisi ne arz kiya hazrat
Apto Allah ta'aala ke wali
Hain Aap bhi itna ghabrate
Hain isse pehLe to Aap
Itna pareshan nahi hote the
Farmane lage safar bahut
Lamba hai tosha pas
Nahi hai kabhi pehLe
Is raste par safar karne
Ka ittefaaq nahi hua Aaqa
Or sarkaar ki ziyarat karni.
Hai isse pehLe kabhi ziyarat
Nahi ki aise khofnak manzar
Dekhne hain jo pehLe
Kabhi nahi dekhe matti
Ke niche qayamat tak
Akele pade rehna hai wahan
Koi ghamkhar pas nahi
Hoga phir Allah ta'aala
Ke Huzoor peshi hogi
Mujhe dar lag raha ke
Agar Allah ta'aala ne
Phooch liya habeeb 60
Salon me ek tasbeeh
To pesh karde jisme shetaan
Ka koi dakhaL na ho to
Me kya jawab dunga
★ Mere doston haqiqat ye hai
Ke habeeb ajmi ne 60
Saal ki zindagi me duniya
Se zara sa bhi diL nahi
Lagaya tha jab itna taqwa
Or parhezgari ki
Zindagi guzaarne wale
Yun dar rahe hote hain
To ham jeso ka kya haal
Hoga jo kisi waqt bhi
Duniya se to door ki baat
Gunaahon se bhi khaLi
Nahi hote har waqt shetaan
Ki khushamad me lage
Rehte hain
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
(pαʀт ⇨60)
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //47/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
⚀⚀⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
▓ maut ki tayyari ▓
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
━─────────────────━
Hazrat ibraheem
Bin adham rh ko
Char kamon ki fikr
━─────────────────━
⊙ PART -60 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ tambiLuL ghafiLeen me likha
Hai hazrat ibraheem
Bin adham rh se kisi
Ne arz kiya hazrat agar
Irshaad Farmay to me apki
Khidmat me hazir ho jaya
Karun take Aap kuch
Wa'az or naseehat farmay
Aapne farmaya mujhe
Abhi char kamon ki wajah
Se fursat nahi hai Albatta
Inke baad ye kaam kar
Sakta hun isne poocha
Hazrat wo char kaam
Kya hain Aapne farmaya
★ PehLa to ye hai
Allah ta'aala ne azaL
Hi se farmaya tha ke
Logon ka ek giroh jannati
Hai or dusra jahannami
Hai mujhe har waqt ye fikr
Rehti hai ke me kis giroh
Me shamiL tha
★ Dusra
Ye jab aurat ke pet me
Hamal theharta hai to
Farishta Allah ta'aala
Se poochata hai me is
Bacche ko khush'bakht
Likhun ya bad'bakht
Mujhe har waqt ye fikr
Lagi rehti hai na maloom
Mujhe kya likha gaya ho
★ Teesra ye ke jab farishta
Aadmi ki rooh qabz karta.
Hai to ye poochta hai
Is rooh ko musalmano
Ki rooh ke sath rakhu
Ya kafiron ki rooh ke sath
Mujhe ye fikr rehti hai
Ke na maloom mere bare
Me is farishte ko kya jawab
Milega
★ Chotha ye ke
Qayamat ke din
Allah ta'aala farmayge
Ay mujrimon Aaj mere
Nek bandon se alag ho jao
Mujhe har waqt ye fikr
Rehti hai na maloom
Mera shumaar mujrimon
Me hoga ya Farmabaddaron
Me
★ Me jab tak in char kamon
Me masroof hun us waqt
Tak or se baat karne
Ki mujhe fursat hi nahi
★ dekha wo hazrat zindagi
Ki istarah qadar karte
The Allah ta'aala ham
Sabko bhi aisi fikr naseeb
Farma de Aameen
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
(pαʀт ⇨61}
Nεxт тimε insнα αllααн
Maut ki tayyari
P //48/
▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁
▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
```Talibe dua```
■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■